Pages

Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts

Wednesday, 15 February 2012

Ye Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le Lo

Ye Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le Lo
Bhale Chhiin Lo Mujhase Merii Javaanii
Magar Mujhako Lautaa Do Bachapan Kaa Saavan
Vo Kaagaz Kii Kashtii, Vo Baarish Kaa Paanii

Muhalle Kii Sabase Nishaanii Puraanii
Vo Budhiyaa Jise Bachche Kahate The Naanii
Vo Naanii Kii Baaton Mein Pariyon Kaa Deraa
Vo Chahare Kii Jhuriryon Mein Sadiyon Kaa Pheraa
Bhulaae Nahiin Bhuul Sakataa Hai Koi
Vo Chhotii Sii Raaten Vo Lambii Kahaanii

Kadii Dhuup Mein Apane Ghar Se Nikalanaa
Vo Chidiyaa Vo Bulabul Vo Titalii Pakadanaa
Vo Gudiyaa Kii Shaadii Mein Ladanaa Jhagadanaa
Vo Jhuulon Se Giranaa Vo Gir Ke Sambhalanaa
Vo Piital Ke Chhallon Ke Pyaare Se Tohafe
Vo Tuutii Hui Chuudiyon Kii Nishaanii

Kabhii Ret Ke Unche Tiilon Pe Jaanaa
Gharaunde Banaanaa Banaake Mitaanaa
Vo Maasuum Chahat Kii Tasviir Apanii
Vo Kvaabon Khilaunon Kii Jaagiir Apanii
Na Duniyaa Kaa Gam Thaa Na Rishton Ke Bandhan
Badii Khuubasuurat Thii Vo Zindagaanii                             -- Jagjit Singh

Thursday, 26 January 2012

Usuulon Pe Jahan Aanch Aaye Takrana Zaroori Hai

Usuulon pe jahan aanch aaye takrana zaroori hai
Jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umron ki khud_mukhtaariyon ko kaun samjhaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye laute
Saliqaamand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai

Bahut bebaak aankhon mein ta'alluq tikk nahi paata
Muhabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai

Saliqa hi nahi shaayad use mahsuus karne ka
Jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho
Ki is ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai        ---Waseem Barelvi

Wednesday, 25 January 2012

Kbhi Kisi Ko Mukmmal Jahan Nhin Milta

Kbhi kisi ko mukmmal jahan nhin milta
Kahin jmin to kahin aasma nhin milta

Jise bhi dekhiye vo apne aap men gum hai
Juvan mili hai magar humjuvan nhin milta

Tere jahan men aisa nhin ki pyar nhin
Jahan umeed ho iski vahan nhin milta

Bjha ska hai bhala kaun waqt ke shole
Ye aisi aag hai jismen dhuaan nhin milta                --Film- Ahista-Ahista

Sunday, 22 January 2012

Khamosh Hain Behal Hain Bekal Hain Ladkiyan

Khamosh hain behal hain bekal hain ladkiyan
Shayad kisi ke pyaar main pagal hain ladkiyan

Jangal dikhayi dega agr hum yahan na hon
Such puchiye to shahar ki halchal hain ladkiyan

Bada agar karen to bharosha na kijiye
Khulkar nhin barsate vo badal hain ladkiyan  

Patthar inhain jo kahte hain vo bevkooph hain
Dekhen inhen kareeb se  makhmal hain ladkiyan

Unse kaho ki ganga ke jaisi pvitra hain 
Jinke liye sharab ki botal hain ladkiyan

'Anjum'  tum apne shahar ke ladkon se ye kaho
Paron ki bediyan nhin payal hain ladkiyan.                         -- Anjum Rahber

Sunday, 24 April 2011

Sirf daulat se ujala nhi hone wala

Jab talak lahron se rishta nhi hone wala, 
Paar hargiz koi dariya nhi hone wala.

Jindgi chahiye ik, chehron ko samjhne ke liye, 
Ek do din mein tajurba nhi hone wala.

Lakh israr kren kitna hi royen bacche, 
Sasta ab koi khilona nhi hone wala.

Usko sach kahne ki sach sunne ki bemari hai, 
Rog uska kabhi accha nhi hone wala.

Chahiye or bhi kuch dil ke andheron ke liye, 
Sirf daulat se ujala nhi hone wala.

Dekhiye ahle siyasat ka tamasha sahab,
Phir kabhi aisa tamasha nhi hone wala.   

(Hastimal Hasti)