Pages

Sunday 24 April 2011

Sirf daulat se ujala nhi hone wala

Jab talak lahron se rishta nhi hone wala, 
Paar hargiz koi dariya nhi hone wala.

Jindgi chahiye ik, chehron ko samjhne ke liye, 
Ek do din mein tajurba nhi hone wala.

Lakh israr kren kitna hi royen bacche, 
Sasta ab koi khilona nhi hone wala.

Usko sach kahne ki sach sunne ki bemari hai, 
Rog uska kabhi accha nhi hone wala.

Chahiye or bhi kuch dil ke andheron ke liye, 
Sirf daulat se ujala nhi hone wala.

Dekhiye ahle siyasat ka tamasha sahab,
Phir kabhi aisa tamasha nhi hone wala.   

(Hastimal Hasti)