Pages

Wednesday 18 April 2012

Mai Rahun Ya Na Rahun, Mera Pata Rah Jayega

Mai Rahun Ya Na Rahun,Mera Pata Rah Jayega
Shakh Pe Ydi Ek Bhi ,Patta Hara Rah Jayega

Apne Geeton Ko Siyasat Ki Juwan Se Door Rakh
Pankhuri Ke Vaksh Men Kanta Gada Rah Jayega

Bo Rha Hun Beej Kuch ,Samvednaon Ke Yahan
Khushbuon Ka Ik Anokha Silsila Rah Jayega

Mai Bhi Dariya Hun Magar,Sagar Meri Manjil Nhin
Mai Bhi Sagar Ho Gya,To Mera Kya Rah Jayega

Kal Bikhar Jaunga Harsu ,Mai Bhi Shabnam Ki Tarah
Kirne Chun Lengi, Mujhe Jag Khojta Rah Jayega             -   Rajgopal Singh

Bat Jyon Ki Tyon Khdi Hai Kya Kahen, Kisase Kahen

Bat Jyon Ki Tyon Khdi, Hai Kya Kahen, Kisase Kahen
Sabko Bas Apni Padi Hai ,Kya Kahen, Kisase Kahen

Hai Takaja Santulan Ka Par Yhan To Har Jagah
Aarjoo Kad Se Badi Hai, Kya Kahen, Kisase Kahen

Apshakun Aarmbh Hi Men Ho Gya Hai Dosto
Baki Poori Ik Ladi Hai, Kya Kahen , Kisase Kahen

Pyar Ka Ik Fool Tha,Par Pas Apne Ab Fakat
Ek Sookhi Pankhudi Hai, Kya Kahen,Kisase Kahen

Muddaton Se Paksh Dono Man Se To Taiyar Hain
Bas Pahal Par Hi Adi Hai,Kya Kahen, Kisase Kahen

Koop To Pani Ko Tarsen Or Dariyaon Men Roj
Megh Ki Lagati Jhadi Hai, Kya Kahen, Kisase Kahen                       -Hastimal Hasti

Friday 13 April 2012

Ab bhi othon pe hansi hai, Ab bhi aankhon men nmi

Ab bhi othon pe hansi hai,Ab bhi aankhon men nmi
Kaun kahta hai ki patthar,ho gya hai aadmi

Jal rha hai van magar, kuch fool bhi khilte mile
Dhoop chubhti ho bhle,par chandni hai reshmi

Doodh maa ki chatiyon men ,bhookh bchche men abhi
Rokne se jindgi ki ,kab kahan dhara thmi

Ab bhi aangan men ghraurnde,ab bhi hain kilkariyan
Boliye ghar men kahan,fir ho gyi koi kami

Gungunati ab bhi payal, rang menhdi men abhi
Janm par bajti nhin, ab bhi kahin dhun matmi

Ab bhi palkon par hain spne,khoj manjil ki vahi
Drishti ab bhi aadmi ki, chand taron par jamin          Hanumant Naydu

Thursday 5 April 2012

Lakh sayane ho jaaye hum, bachpan phir bhi rahta hai

jab tak ghar bharta hai apna ,hum khali ho jaate hain
is duniyadari ka kitna mahga mol chukate hain

soch samjhkar kharch rahe hain muskame is daur ke log
ghaar me rahte hain chup ,koi aata hai muskate hain

aane ko dono aate hain jeevan ki dopahri me
dukh arse tak baithe rahte ,sukh jaldi ud jaate hain

lakh sayane ho jaaye hum,bachpan phir bhi rahta hai
pahile toffe ,kulfi ab gadi-bangle lalchate hain

bheed yahaan ki,ya ki bahaan ki kadamtal ki aadi hai
saath unhi ke ho leti jo achcha dhol bajate hain

ek samay vo tha darbaje dustak se na khulte the
ek samay ki hai ye 'hasti' aahat se khul jaate hai.     HASTI MAL 'HASTI'

Tuesday 3 April 2012

Jindgi Rukti Nhin Is Tajarube Se Kam Lo



 Jindgi Rukti Nhin, Is Tajarube Se Kam Lo
 Panw Jab Thakne Lgen ,To Haunslon Se Kam Lo

 Pass Ki Cheejon Men Mohakta Bni Rahti Nhin
  Jab Niktata Bojh Ho, ToFasle Se Kam Lo  

-Tukdon -Tukdonn Men n Bolo, Bat Se Bhtko Nhin
 Varta Jab Bhi Kro, To Silsile Se Kam Lo

 Yah Ghata,Gahra Andhera, Isase Ghabrate Ho Kyon?
  Jugnuon Se Kam Lo,Ghar Ke Diye Se Kam Lo

  Jab Koi Mane Nhin, Apnayton Se,Prem Se
  Waqt Pad Jaye To Fir ,Shikve-Gile Se Kam Lo          Dr Girirajsharan Agrawal