Sheeshe ke mukaddar me bdal kyon nhin hota
In Patathron ki aankh me jal kyon nhin hota
Har bar na milne ki kasam kha ke mile hum
Apne hi iradon pe amal kyon nhin hota
Har cheej men tera hi agar roop hai Bhagwan
Har aadmi tujh jaisa sral kyon nhin hota
Har ganw men Mumtaj janam kyon nhin leti
Har mod pe ik tajmahal kyon nhin hota
Har jheel men pani hai har ik jheel men lahren
Fir sabke Mukaddar men kanwal kyon nhin hota -Hastimal Hsti