Pages

Wednesday 15 February 2012

Ye Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le Lo

Ye Daulat Bhii Le Lo, Ye Shoharat Bhii Le Lo
Bhale Chhiin Lo Mujhase Merii Javaanii
Magar Mujhako Lautaa Do Bachapan Kaa Saavan
Vo Kaagaz Kii Kashtii, Vo Baarish Kaa Paanii

Muhalle Kii Sabase Nishaanii Puraanii
Vo Budhiyaa Jise Bachche Kahate The Naanii
Vo Naanii Kii Baaton Mein Pariyon Kaa Deraa
Vo Chahare Kii Jhuriryon Mein Sadiyon Kaa Pheraa
Bhulaae Nahiin Bhuul Sakataa Hai Koi
Vo Chhotii Sii Raaten Vo Lambii Kahaanii

Kadii Dhuup Mein Apane Ghar Se Nikalanaa
Vo Chidiyaa Vo Bulabul Vo Titalii Pakadanaa
Vo Gudiyaa Kii Shaadii Mein Ladanaa Jhagadanaa
Vo Jhuulon Se Giranaa Vo Gir Ke Sambhalanaa
Vo Piital Ke Chhallon Ke Pyaare Se Tohafe
Vo Tuutii Hui Chuudiyon Kii Nishaanii

Kabhii Ret Ke Unche Tiilon Pe Jaanaa
Gharaunde Banaanaa Banaake Mitaanaa
Vo Maasuum Chahat Kii Tasviir Apanii
Vo Kvaabon Khilaunon Kii Jaagiir Apanii
Na Duniyaa Kaa Gam Thaa Na Rishton Ke Bandhan
Badii Khuubasuurat Thii Vo Zindagaanii                             -- Jagjit Singh

Monday 13 February 2012

Kaun Tum Mere Hriday Mein?

Kaun Tum Mere Hriday Mein ?
Kuan Meri Kask Mein Nit

Madhurta Bharta Alkshit?
Kaun Piyase Lochnon Mein

Ghumad Ghir Jharta Aprichit?
Suarn Suapnon Ka Chitera

Need Ke Sune Nilay Mein
Kaun Tum Mere Hriday Mein?

Anusarn Nishwas Mere
Kar Rhe Kiska Nirantar?

Chumne Padchinh Kiske
Lautate Ye Shuaas Fir-Fir?

Kaun Bandi Kar Mujhe Ab
Bandh Gya Apni Vijay Mein

Kaun Tum Mere Hriday Mein ?
Ek Krun Abhaw Chir-

Tripti Ka Sansar Sanchit,
Ek Laghu Kan De Rha

Nirvan Ke Vardan Shat-Shat, 
Pa Liya Maine Kise Is   

Vedna Ke Madhur Kriy Mein
Kaun Tum Mere Hriday Mein?  

Goonjta Ur Mein Na Jane    
Door Ke Sangeet-Sa Kya  

Aaj Kho Nij Ko Mujhe   
Khoya- Mila, Vipreet -Sa Kya  

Kya Nha Aai Virah -Nishi  
Milan -Madhdin Ke Uday Mein?

Kaun Tum Mere Hriday Mein?    
Timir -Paravar Mein   

Aalok Pritima Hai Aakampit   
Aaj Juwala Se Barasta  

Kyon Madhur Ghansar Surbhit ?     
Sun Rhi Hun Ek Hi    

Jhankar Jeevan Mein, Prilay Mein
Kaun Tum Mere Hriday Mein?

Mook Sukh-Dukh kar Rhe       
Mera Nya Shringar- Sa Kya?     

Jhoom Garvit Suwarg Deta        
Nat Dhara Ko Piyar -Sa Kya ?      

Aaj Pulkit Srishti Kya    
Karne Lagi Abhisar lay Mein?

Kaun Tum Mere Hriday Mein?...                   -- Mahadevi Varma                          

Jo Tum Aa Jate Ek Bar

Jo Tum aa jaate ek bar
kitni karuna kitne sandesh
path mein bich jate ban parag
gata piranon ka tar-tar
anurag bhara unmad-rag
aansu lete ve pag-pakhar
jo tum aa jate ek bar

Hans uthte pal bhar mein aadr nayan
dhul jata honthon se vishad
cha jata jeevan mein basant
lut jata chir sanchit virag 
aankhen detin sarvasw var
jo tum aa jate ek bar                                         -Mahadevi Verma

Sunday 12 February 2012

Ek Pagli Ladki Ke Bin

Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gum ansoon ke sang hote hain,

Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,

Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,

Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.

Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,

Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,

Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,

Jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,

Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,

Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,

Kya likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka bhi samman karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,

Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ek ladki ka ek photo laya jaata hai,

Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,

Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.

Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,

Woh pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,

Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,

Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,

Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bhin marna bhi bhari lagta hai.          -- Dr.Kumar Vishwas         

Saturday 11 February 2012

Dukh Bantne Se Or Bhi Badhega…

Aksar jab insane dukhi hota hai, tab chahta hai koi aisa apna ho, jisse apna dukh bant sake, kahte hain ki dukh bantne se kam hota hai, lekin aaj ki date main dukh jitna batoge utna hi aapke liye jyada dukhdai sabit hoga, kyon ki log itne berahm ho chuke hain, ki doosare ke jale per namak chidkne main hi unhain maja aata hai. Har insaaan ki jindgee mein utaar chadhaw aate hi rahte hai, agar aap bhi dukhon se ghire huye hai, to kuch baton ka khayal rakhiye, sab dheek ho jayega.
  1. Ye duniya aansuon per hasti hai, or muskrahat se jalti hai, aap apane dukhon per doosaron ko hasne ka moka mat dijiye, jab bhi doosaron se milen, muskrahat ke sath milen.
  2. Ko kitna hi saga – sambandhi kyon na ho agar aapki income kam hai to bilkul bhi mat btayiye, kyon ki appka samman ya apmaan aapki money se hi shuroo hota hai.
  3. Addmi apne dukhon se utna pareshan nhi hota jitna uske naate – ristedaar, Jaan – pahchan ke log uski condition ka tamasha bnaker use dukh pahuchahte hain. Behtar hoga jab tak aapka wakt kharab chal rha hai, aise logon se doori hi bna kr rakhen.
  4. Ghabraiye nhin balki us din ka intzaar kajiye jab sab kuch theek ho jayega, andbiswasi nhi bane, lekin is baat ko bhi nhi bhoolen ‘ki jo aaj hai vo kal nhi rahega’ yahi nature ka rule hai, har aane wala kal beete kal se kuch alag hi hota hai.
  5. Kabhi aap is baat ko leker pareshan hote honge ki koi apna nhi, lekin jab aapke din phirenge to duniya ke suarthi log aapke ird – gird khud va khud ikatha ho jayenge, kyon ki Ugte Sooraj ko sabhi Jal dete hain, or ye baat kisi ek per nhi sabhi per lagoo hoti hai, Kyon Sooraj ka ugna or dhalna bhi nature ka ek rule hai.
  6. Kahte hain -  Jo log ladder saath-2 chadna suroo karte hai, to kuch log aage nikal jate hai or kuch log peeche bhi rah jate hai, lekin unki mulakat duwara jaroor hoti hai, kyon ki uper pahunch chuka aadmi nichle paydaan wale aadmi se ek baar phir takrata hai, tab ya to vah neeche uter rha hota hai ya neeche wala aadmi hi uske paas tak pahunch chukka hota hai.

Jeewan Chalne Ka Naam...

Ye vo wakt hai jab sakoon ke palon ko ungaliyon per gina ja sakta hai, ya phir bechani itni jayada hai ki chain ka ahsas hi nhi ho pata, or vo pal chupke se hi sark jate hain, kai baar insaan depression main aakr suicide krne ke bare main tak sochne lagta hai. Use lagta hai ki duniya bahut buri hai, usase door jana hi behtar hai, jab ki such ye hai ki duniya to acchi hai per usme rahne wale logon mein burai ne ghar kr liya hai. Khud per bharosha rakhiye, aap apne jhanjhabton se niklne ki koshish khud hi karenge to ek din nikal bhi jayenge, or jeet apki hi hogi.

1.    Jeewan main utsah or prerana se bhare gaane sune, ye gaane aapke man main new energy ka sanchar karenge, jaise
a.   Jeewan chalne ka naam, Chalte raho subaha or Shaam
b.  Jindgi ke yahi reet hai, Haar ke baad hi jeet hai
c.  Nadiya chale chale re, Dhara tujhko chalna hoga
d.  Jeena hai to has ke jiyo, Jeewan main  ek pal bhi rona na…
e.   Aana Jaana laga rahega, Dukh jayega Sukh aayega
2.      Apni preshaniyon ko diary main likh lejiye, ya kisi page per likhker use phad dijiye isse man jarror shant hoga
3.      Apni pareshaniyon ko apne Mata - Pita, Bahi - Bahin, Pati - Patni ya khas dost tak hi seemit rakhiye
4.       Kai baar haar kr jeene ka man nhi krta lekin us bajah ko talashiye jiske khatir jiya ja sakta hai, apno ke bare main sochiye jinke liye aap kitne ajeej or jarori hain
5.      Pareshaniyan hamesha apne poore suroor pr nhi rahti, lekin pareshaniyon se jhoojhne wale hamesha rahte hai kyon ki pareshaniyon ke pahad se takra- 2 kr itne majboot ho jate hain ki unhain muskilen bhi phir aasan lagne lagti hai
6.     Jab pareshan ho, to Nature ke bare main sochiye, andhera hota hai, roshani bhi aati hai, thand aati hai, garmi bhi aati hai, patjhad aata hai, sawan bhi aata hai, dhoop khilti hai, chaya bhi milti hai, Jab her ek ki vipreet cheez mojood hai, phir aapki pareshani ka end bhi hona hi chahiye
7.     Sunami, Earthquake, Cyclone jaisi prakritik aapda se jo ghar, gown, shahr ujadte hai, der-saber kaise na kasie baste hi hai. Pahle jaise roop main to nhi lekin toote phoote roop main hi sahi jindgi chalti hi hai, thamti nhi, Jindgi chalne ka hi naam hai thamne ka nhi
8.      Agar aap nirash ho kr kaam na Karen to bhi or kaam krenge to bhi result dono ka hi aana hai, accha yahi hoga, kaam krke hi result haasil kiya jaye…

Ummeed Per Duniya Chale...

Kai baar anek koshison ke bavjood jab insan ko saphlata nhi milti to himmat jawab de jati hai, kai log to aatmghati kadam tak utha lete hain, kai log depression main chale jate hain, in haalaton se jhoojhate huye koi philosphy acchi nhi lagti lekin tab hatash hone ke bajai agar God ko mante hain tab bhi or nhi mante hain tab bhi sab kuch waqt per chor dena chahiye. Or bujhe man se hi sahi koshish jari rakhni chahiye, pta nhi kab kya aisa ho jaye jiske baare main kabhi socha hi nhi tha, bakai jindgi ittphak hi to hai. Maine aise kai logon ke baare main padha ya suna hain unhen vo mila jiski unhone ummeed chor hi di thi...
  1. Ex President Abdul kalam ko to apne carrier ki line hi change krni padi thi tab unhone socha bhi nhi hoga ki ek din famous scientist hone ke alawa vo is desh ke president bhi banege.
  2. Pakistan ki Ex Prime Minister Benjeer Bhuuto ne apne biography main likha tha ki unhone aise halat dekhe the, jail main rahte huye kabhi socha nhi tha ki shadi hogi, bacche honge, ek khushaal jindgi hogi, Prime Minister ka khuab to bahut door ki baat thi, lekin sab kuch hua, jiski unhone kalpna bhi nhi ki thi.
  3. Actor Manoj Kumar or Dharmender jinhone baad main bhale hi bulnadiyon ko chua lekin play back singer Mahinder Kapoor ne ek interview main btaya tha ki jab Mahinder kaam ki takash main the or in dono se ve pahli baar mile to ye dono choti si jagah per rahte the jameen per sote the, chane khakr bhi gujara karte the.
  4. Comedian Rajpal Yadav or Chadra Kanta ke kroor singh, Aklender Mishara ki bhi kuch aisi hi kahani thi.
  5. Actor Anil Kapoor ne jis philm main main kaam kiya role chota tha lekin train ki chatt per bhagna tha, jab picture release hui to sirf unki tangen hi dikhayi di, tab be bahut roye the.
  6. Actress Vidya Valan ne jis philm main kaam kiya bah band pad gyi, lambe samay tak kaam nhi mila, to Sai Maindir main jaker ghanton beethi rahti thi, roya krti thi, or aaj vidya bulandiyon per hai.
  7. Actor Akshay Kumar, pahle waiter hua krte the, baad main parde ke peeche sir per light uthane ka bhi kaam kiya. Hritik Roshan ne bhi philmon main aane se pahle set per mojood rah ker bahut chote-2 kaam kiye.
  8. Sangeetkar LaxmiKant Pyarelal ne ek baar btaya ki pahle gane ki dhun banti thi, phir gana likha jata tha, jab ve koi bhi dhun banane main nakam rahe to jane lage, bole- accha to ab chalte hain, doosare ne kaha- phir kab miloge, baat krte hi krte chillane lege mil gya, situation ke hisab ka hi gana ban gya, ye gana apne samay main super hit rha tha.
Hosla rakhiye kya pta anginat kadhinayon ko jhelne ke baad aane wala wakt aapke Jeewan ke liye koi uphaar leker aa jaye….