Pages

Sunday 22 January 2012

BEET GAYEE SO BAAT GAYEE




Jo beet gyi so baat gyi. 
Jeevan mein ek sitara tha
Maana, woh behad pyara tha,

Woh doob gaya to doob gaya.
Ambar ke aanan ko dekho,

Kitne iske tare toote,
Kitne iske pyare chhoote
Jo chhoot gaye phir kahan mile;
Par bolo toote taron par

Kab ambar shok manata hai.
Jo beet gyi so baat gyi.

Jeewan mein tha who ek kusum,
The us pe nitya nyochawar tum, 
Vah sookh gaya to sookh gaya; 
Madhuwan ki chaati ko dekho,

Sookhi kitni iski kaliyan
Murjhai kitni ballariyan,
Jo murjhai phir kahan khilin,
Par bolo sookhe phoolon pe,
Kab madhuvan shok manata hai ?
Jo beet gyi so baat gyi.  

Jeewan mein madhu ka pyala tha,
Tumne tan man de daala tha,

Woh toot gaya to toot gaya,
Madiralay ka aangan dekho,
 
Kitne pyaale hil jaate hain,
Gir mitti mein mil jate hain,
Jo girte hain kab uthte hain,
Par bolo toote pyalon par,
kab madiralay pachtata hai ?
Jo beet gyi so baat gyi.  

Mridu mitti ke hain bane huye,
Madhu ghat phoota hi kartein hain,

Laghu jeewan leke aaye hain,
Pyale toota hi karte hain,

Phir bhi madiralay ke andar
Madhu ke ghat hain, madhu pyale hain,
Jo madakta ke mare hain,
Ve madhu loota hi karte hain,

Vah kachcha peene wala hai,
Jiski mamta ghat pyalon par,

Jo sachche madhu se jala hua

Kab rota hai, chillata hai? 
Jo beet gyi so baat gyi.
                                                           - Harivanshrai Bachchan 

No comments:

Post a Comment